• Maharishi Kratu ko pranaam
  • Shri Hariwansh Lal Poonja ko pranaam
  • Maharishi Ramana ko pranaam
  • Mister Jamie Munday ko pranaam
  • Saare mahapurusho ko pranaam

I have had some great experiences in the past year and a quarter. mei apne aap me poora hoon, aisa anubhav mujhe kareeban 2 mahino se ho raha hai. Mujhe ab aisa aabhas hai ki mere bache hue kaam poore karke mei is shareer aur is man ko tyaag sakta hoon. Ab mera sara dhyaan sirf apne bache hue kaamo ko karne me hi hai.

Pragya se neeche aane ke baad mujhe bohot light mehsoos hota hai. Aajkal mujhe bohot light mehsoos hota hai. Mujhe yaad hai ki maine jo paya hai use paane ke liye mujhe life me kitne tarah ke tap, kin kin confusions, kitne guruo ki khoj se guzarna pada. Sirf isi wajah se mei chahta hoon ki mei kuch tips, ya sootra chhodd kar jaun.

In sootron ka upyog sirf sacche seekers hi kare aisi meri kaamna hai. Mei ye nahi chahta ki is duniya mei Yoga ke baare me jitna likha gaya hai usme mera bhi ye likha hua gyaan add ho jaye. Aisa hone se wo sirf doosre seekers ke confusion badhaega. Mujhe apne bache hue ego ka bhi achche se dhyaan hai. Prasiddhi prapt karke mei us vestigial ego ko bhi badhana nahi chahta hoon.

Isiliye mei ye padhne walo se bohot sacche dil se aagrah kar raha hoon ki:

  • Is gyaan ko final mat samajhiye.
  • Na ise meri khud ki badhai samajhiye.
  • Na ise yog ki koi nayi vidhi samajhiye.
  • Ise sirf mere chand expriences se prapt hue sootra samajhiye.
  • ise bhi ant me bhool jana. Mind ka ant kar dena.
  • Shanti Shanti Shanti-hi

Mere bohot tuccha magar (seemingly) important sootra:

    {start of instruction}
  • 1. Shant raho. Koi bhi thought stir mat karo.
  • 2. Agar sharir me energy ki kami hai, to ye karo: Apne upar ek infinite light source ko imagine karo, jaise tumhare sir ke upar koi samudra hai. Ye samudra bohot bright white light se bana hai. Is light me (SAB KUCH HAI). Literally ye sansar jin saari cheezo se bana hai, is light me wo sab kuch hai. Is light ko ek bade football sized beam me apne sir se hote hue poori body me pravesh hote hue imagine karo. {video here} Ye feel karo ki ye light sharir ke ek ek cell me ghus rahi hai. Har cheez ki poshit kar rahi hai, har cheez ko saaf kar rahi hai. Har cheez ko oorja se bhar rahi hai. Aankhe band karke is hi state me baithe raho jabtak man kare. Ek baar oorja se bharpoor mehsoos karne lago, dimag ko shant kar lo. Aur shant rakho.
  • 3. Instruction for the mind (man in hindi): have no attachment. Shanti
  • {end of instruction}